Bachpan ka zamana hota tha
Khushiyon ka khazana hota tha
Chahat chand ko paane ki,
Dil titli ka diwana hota tha,
Khabar na thi kuch subah ki,
Naa shaam ka thikana hota tha,
Thak-haar ke aana school se,
Par khelne bhi jaana hota tha,
Doston ki kahani hoti thi
Pariyon ka fasana hota tha
Barish main kagaz ki kasti thi
har mausam suhana hota tha
Har khel me sathi hote the
Har rista nibhana hota tha
Papa ki woh dante galti par
Mummy ka manana hota tha
Gum ki zubaan na hoti thi
Na zakhmo ka paimana hota tha
Rone ke wajah na hoti thi
Na hasne ka bahana hota tha
Ab naa rahi woh zindagi...jaisa
Bachpan ka zamana hota tha
No comments:
Post a Comment